ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi ki khudi ke aarifon ka hai maqam padshahi teri zindagi isi se teri aabru isi se jo rahi khudi to shahi na rahi to ru-siyahi na diya nishan-e-manzil mujhe ai hakim tu ne mujhe kya gila ho tujh se tu na rah-nashin na rahi mere halqa-e-sukhan mein abhi zer-e-tarbiyat hain wo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulahi ye muamle hain nazuk jo teri raza ho tu kar ki mujhe to khush na aaya ye tariq-e-khanqahi tu huma ka hai shikari abhi ibtida hai teri nahin maslahat se khali ye jahan-e-murgh-o-mahi tu arab ho ya ajam ho tera la ilah illa lughat-e-gharib jab tak tera dil na de gawahi