zindagi ke sab ubharte aur dhalte zawiye naqsh hain nazron mein nazron ke badalte zawiye dhadkanen be-tabiyan pur-kaif banhon ka hisar sans ki hiddat se jazbon ke pighalte zawiye munqata karne lagi hain hosh se idrak se ek nazar ki wusaten qausen machalte zawiye rafta rafta phul chehron ki chamak ko kha gae jins-parwar bhuki nazron ke nigalte zawiye muddaten tark-e-talluq ko huin ab bhi magar dhundhti hun teri jaanib ko nikalte zawiye tujh ko bhi hota to hai tark-e-mohabbat par malal teri aankhon mein hain raqsan hath malte zawiye