puchho agar to karte hain inkar sab ke sab sach ye ki hain hayat se bezar sab ke sab apni khabar kisi ko nahin phir bhi jaane kyun padhte hain roz shahr mein akhbar sab ke sab tha ek main jo shart-e-wafa todta raha haalanki ba-wafa the mere yar sab ke sab socho to nafraton ka zakhira hai ek dil karte hain yun to pyar ka izhaar sab ke sab zindan koi qarib nahin aur na raqs-gah sunte hain ek ajib si jhankar sab ke sab maidan-e-jang aane se pahle palat gae nikle the le ke hath mein talwar sab ke sab zehnon mein khaulta tha jo lawa wo jam gaya mafluj ho ke rah gae fankar sab ke sab