mujh ko daulat mili tere gham ki kya haqiqat hai ab do-alam ki main ne gardan jahan jahan kham ki ek tajalli hai nur-e-paiham ki husn zinat hai ahd-e-mubham ki ishq hurmat hai naqsh-e-mohkam ki nala pahuncha ba-hadd-e-khamoshi intiha hai junun ke aalam ki kyun na waqif hon raaz-e-hasti se mujh ko hasil hai marifat gham ki jo tha mazhar wahi bana parda raaz-dari ye tere mahram ki tur-e-dil par hai nur ki barish kitni azmat hai chashm-e-pur-nam ki un ke partaw ka nur hain donon ek hasti hai mahr o shabnam ki sab ko hairat hai do-jahan manga mujh ko hasrat ki aarzu kam ki kar raha hun dua ki dard badhe fikr karta hun roz marham ki dil khuda se laga 'bashir' ab tu pai barkat hai ism-e-azam ki