mujh ko duniya ke har ek gham se chhuda rakkha hai jalwa-e-yar ne madhosh bana rakkha hai maut se aap ki ulfat ne bacha rakkha hai warna bimar-e-gham-e-hijr mein kya rakkha hai arsa-e-hashr mein ruswai yaqini thi magar teri rahmat ne har ek jurm chhupa rakkha hai manzil-e-dair-o-haram chhod ke ai jaan-e-jahan main ne kaba teri chaukhat ko bana rakkha hai jazba-e-ishq mein takmil-e-ibaadat ke liye main ne sar yar ke qadmon mein jhuka rakkha hai tere jalwon ki ye shokhi are tauba tauba hosh musa ka sar-e-tur utha rakkha hai