nasib-e-chashm mein likkha hai gar pani nahin hona to kya ye tai hai ab ranj-e-pashemani nahin hona sakun se ja lagegi dil ki kashti apne sahil se ki is barsat mein dariya ko tufani nahin hona sabhi kuchh tai-shuda mamuli jaisa hone wala hai kisi bhi waqiye ko wajh-e-hairani nahin hona junun mein mumkina had tak rahega hosh bhi shamil meri jaan be-zarurat kar-e-nadani nahin hona hamin un khush-nasibon mein se hain, jin ke nasibon mein khuda ne saf likkha hai pareshani nahin hona