tariq-e-ishq mein adnesha-e-ziyan na raha usi ka nam raha jis ka kuchh nishan na raha kahin gulon mein kahin mehr-o-mah-o-anjum mein nazar nazar ke liye wo kahan kahan na raha liye the badh ke qadam jis ke qurb-e-manzil ne wo karwan na raha mir-e-karwan na raha jinhon ne khun se ki aabiyari-e-gulshan unhin ka sehn-e-gulistan mein aashiyan na raha ye saneha hai ki rahen to hain nai lekin kisi usul pe dastur-e-karwan na raha nazar-nawaz tha jab manzar-e-gul-o-ghuncha chaman mein agli bahaaron ka wo saman na raha wo din bhi the ki talluq tha ham-nawaon se ye waqt bhi hai ki ab koi ham-zaban na raha hamein bhi ab to ye harf-e-ghalat sa lagta hai hamara nam ki jo zeb-e-dastan na raha diya tha nam jise rah-o-rasm-e-ulfat ka 'rishi' wo mashghala-e-sai-e-raegan na raha