mujh ko furqat ki asiri se rihai hoti kash isa ke ewaz maut hi aai hoti aashiqi mein jo maza hai to yahi furqat hai lutf kya tha jo agar us se judai hoti gar na ho shama to madum hain parwane bhi tu na hota to sanam kab ye khudai hoti ghair se karte ho abru ke ishaare har dam kabhi talwar to mujh par bhi lagai hoti us ki har dam ki nasihat se main tang aaya hun kash naseh se bhi aankh us ne ladai hoti hun wo gham-dost ki sab apne hi dil mein bharta gham-e-alam ki agar is mein samai hoti khat ke aaghaz mein to mujh se hua saf tu kab lutf tab tha ki safai mein safai hoti abr-e-rahmat se to mahrum rahi kisht meri koi bijli hi falak tu ne girai hoti dasht-e-pur-khar mein mehndi ki hawas bhi nikli kab hamari kaf-e-pa warna hinai hoti dhoi kyun ashk ke tufan se lauh-e-mahfuz sar-nawisht apni hi 'nasikh' ne mitai hoti