wo mila mujhko na jaane KHol kaisa oDh kar

wo mila mujh ko na jaane khol kaisa odh kar
raushni gum ho gai apna hi saya odh kar

nind se bojh hain patte unghte se ped hain
shahar soya hai khamoshi ka labaada odh kar

dhundhta phirta tha main har shakhs ke asli nuqush
log milte the mujhe chehre pe chehra odh kar

munjamid sa ho gaya hun khunki-e-ehsas se
dhup bhi nikli hai lekin tan pe kapda odh kar

rang sare dho gaya hai raat ka baadal 'nasim'
aur ghar nange hue pani barasta odh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close