nae shishe mein ab dhal jae har rasm-e-kuhan saqi tujhe duniya badalti hai mujhe ye anjuman saqi wahan kis kaam ke ye saghar-o-mina-o-paimana jahan chalta hai teri mast aankhon ka chalan saqi na aankh utthi na mai chhalki na saghar daur mein aaya mujhe deta raha dhoke ye tera bankpan saqi likha hai nam mera yun to har ek shakh par lekin na mere phul hain saqi na mera hai chaman saqi hata saghar na mere samne se is ko rahne de ki is se jhankti hai mere khwabon ki dulhan saqi maza jab hai meri masti ko tu do-atisha kar de nigahon se nigahon ka bhi hone de milan saqi zara bhigi hui zulfon ki do ek bund tapka de sulagta hai na jaane kab se mera tan-badan saqi teri zulfon ke sae mein dhali raaton ka kya kahna magar kuchh aur kahta hai 'sahar' ka bankpan saqi