tujhe dil mein basaenge tere hi KHwab dekhenge

tujhe dil mein basaenge tere hi khwab dekhenge
mitenge teri chahat mein wafa ke bab dekhenge

ye aankhen yar ke didar ki pyasi hain muddat se
wo aaen baam par to jalwa-e-mahtab dekhenge

khumar-e-khud-parasti bhi kabhi utrega maujon ka
to phir ai qulzum-e-hasti tujhe payab dekhenge

rasai jo teri mahfil talak ek bar ho jae
tujhe nazdik se ai gauhar-e-nayab dekhenge

suna hai nind ke aalam mein wo masrur lagte hain
to phir khwabon mein us zalim ko mahw-e-khwab dekhenge

tere nam-o-nasab se kya gharaz ai dushman-e-jaanan
mile zakhmon se fursat to tere alqab dekhenge

koi musa-sifat aa kar duboe zulm ka lashkar
tabhi hum aaj ke firaun ko gharqab dekhen dekhenge

lab-e-sahil se dekhe hain nazare 'shad' maujon ke
junun-o-shauq ki zid hai ki ab girdab dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close