mujhko majbur-e-sar-kashi kahiye

mujh ko majbur-e-sar-kashi kahiye
aap andhere ko raushni kahiye

un se bachhda to is azab mein hun
maut kahiye ki zindagi kahiye

sar-e-sahil bhi log pyase hain
is ko aashob-e-tishnagi kahiye

kyun tajahul ko aarifana kahun
mere chehre ko ajnabi kahiye

chaar din ki hai chandni lekin
chandni hai to chandni kahiye

maut bhi zindagi ka ek rukh hai
is ko mear-e-agahi kahiye

gham se hum be-maza nahin hote
lazzat-e-gham ko chashni kahiye

mujh ko bakhshi hai
dost ki banda-parwari kahiye

jalta-bujhta ye kirmak-e-shab-tab
us ko pur-kar-e-sadgi kahiye

mujh ko mud mud ke dekhne wale
kya ise tarz-e-be-rukhi kahiye

dhup mein sath sath saya hai
raushni mein bhi tirgi kahiye

rahbari bhi hai ham-rakab-e-uruj
us ko faizan-e-khud-rawi kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close