mujh ko masnad pe qalamdan bakhsha sher-e-qalin ko niyastan bakhsha pir-e-kanan ko diya dagh-e-firaq ek zan ko mah-e-kanan bakhsha maraz-e-ishq mein maut aati hai tu ne har dard ko darman bakhsha qabil-e-did hai husn-e-hikmat hur ko rauza-e-rizwan bakhsha qatra bhi wusat-e-rahmat se hai bahr chashm ko nuh ka tufan bakhsha dil-e-nalan ko diye dagh-e-firaq ek bulbul ko gulistan bakhsha dil-e-be-rahm diya zalim ko jis tarah tir ko paikan bakhsha gul ko pur-zar jo gareban bakhsha khar ko dasht ka daman bakhsha rahm aaya jo gunahgaron par gunah-e-gabr-o-musalman bakhsha aa gaya kuchh jo karimi ka khayal hur ko mulk-e-sulaiman bakhsha teri tadbir hai ain-e-taqdir maut ko aalam-e-imkan bakhsha surkh-ru ahl-e-karam ko rakkha bahr ko panja-e-marjaan bakhsha lab ki ja bosa-e-rukhsar diya ewaz-e-lal badakhshan bakhsha mushaf-e-rukh ka jo dekha koi sher ruh-e-'hafiz' ko bhi quran bakhsha us se hun talib-e-iman ai 'arsh' jis ne kafir ko bhi iman bakhsha