mutmain baiTha hun KHud ko jaan kar

mutmain baitha hun khud ko jaan kar
aur kya milta khuda ko man kar

mere dushman ki sharafat dekhiye
dar karta hai mujhe pahchan kar

zehn-o-dil tafriq ke qail nahin
kya karun apna paraya jaan kar

dosto rudad-e-manzil phir kabhi
rasta chup tha mujhe pahchan kar

zindagi se ab bhi samjhauta nahin
ji liye teri zarurat jaan kar

apne andar raste milne lage
ruk gaya tha khud ko manzil jaan kar

sher to 'anjum' ata-e-ghaib hai
faeda kya lafz-o-mani chhan kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close