mujh ko rukna pad jata hai rasta chhota pad jata hai main bahta dariya hun lekin bich mein sahra pad jata hai raushan chehra zulf ghaneri suraj kala pad jata hai dil par koi qarz na rakhna sud chukana pad jata hai raat bahut tarik agar ho khwab jagana pad jata hai darwaze ko band na rakhna ghar mein jala pad jata hai