mujh ko saqi ne jo rukhsat kiya mai-khane se khud mai-e-nab chhalakne lagi paimane se dekh kar haalat-e-dil un ko taras aa hi gaya wo bhi ghabra se gae mere tadap jaane se dete hain tana-e-asnam-parasti mujh ko sajda karte hue jo nikle hain mai-khane se aap ke jate hi aabaad hui bazm-e-khayal ban gai aur bhi taqdir bigad jaane se mohtasib ab tujhe tauba ka yaqin ho ki na ho hum to takra chuke paimane ko paimane se apna ham-maslak o hamraaz kise kahiye 'shakil' nazar us bazm mein sab aate hain begane se