wo teri inayat ki saza yaad hai ab tak aaya tha khuda yaad khuda yaad hai ab tak chhalki hui aankhon mein mai-e-surkh ke dore zulfon ki wo lahrai ghata yaad hai ab tak wo jism ki khushbu ki pur-asrar si lapten wo moajiza-e-mauj-e-saba yaad hai ab tak wo chandi ke pani se dhule aariz-o-rukh par kaifiyyat-e-sad-rang-e-hina yaad hai ab tak thi jis ko ba-har-gam sahaare ki zarurat mujh ko wo teri laghzish-e-pa yaad hai ab tak wo baaton hi baaton mein bigad jaane ke andaz wo ruth ke manne ki ada yaad hai ab tak qurbat ki tamanna ko samete hue duri wo apni khudi teri ana yaad hai ab tak jo sar ba-hama-e-zoam jhuka tha tere aage jo dil ki tha raazi-ba-raza yaad hai ab tak halke se ishaare pe wo jaan dene ki khwahish wo daur-e-junun ahd-e-wafa yaad hai ab tak kya tujh ko wafaon ki ada yaad rahegi mujh ko to tera tarz-e-jafa yaad hai ab tak ab sakhti-e-dauran ki kadi dhup hai aur hum lekin tere kuche ki hawa yaad hai ab tak