wo zulf hawa se mujhe barham nazar aai udti hui nagan qadd-e-amdam nazar aai hai panja-e-rangin mein hamara dil-e-betab ye aag to simab se baham nazar aai aaghaz mein hasti ki ajal aa gai ai dil jo chiz muakhkhar thi muqaddam nazar aai shabnam ki hai angiya tale angiya ke pasine kya lutf hai shabnam tah-e-shabnam nazar aai majruh kiya ulfat-e-abru ne dam-e-haj mehrab-e-haram nakhun-e-zaigham nazar aai adna hai ye ai jaan sarape ki latafat parchhain teri hur-e-mujassam nazar aai zanjir pahanne se hua qaidiyon ka nam har ek kadi halqa-e-khatam nazar aai tauba ki magar nashshe se us hur-shiyam ne kyun aatish-e-mai nar-e-jahannam nazar aai tum baalon ko khole hue gulshan mein jo aae har shakh-e-shajar zulf-e-namat-kham nazar aai bad-zan na ho kis tarah 'munir' aaj khudara maski hui ai but teri mahram nazar aai