nafaz-e-nazm pur-israr hai aisa nahin lagta

nafaz-e-nazm pur-israr hai aisa nahin lagta
gulistan mein koi sarkar hai aisa nahin lagta

yahan har jeb mein khwabon ki zar-muhren khanakti hain
ye duniya dard ka bazar hai aisa nahin lagta

hum apni jhonk mein aage ki jaanib badhte jate hain
hamare samne diwar hai aisa nahin lagta

sar-e-pindar se pa-e-junun ka rabt ghaeb hai
ye pidhi barsar-e-paikar hai aisa nahin lagta

main jaise ek rah-e-sust-rau ki sair karta hun
meri ranon tale rahwar hai aisa nahin lagta

umad ke aaya to hai abr-e-girya matla-e-jaan se
magar ye saiqa-bardar hai aisa nahin lagta

ba-yak jast-e-tasawwur bazm-e-jaanan mein pahunchta hai
ye 'arshad' hijr ka bimar hai aisa nahin lagta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close