na qatra kam hai na kafi tamam mai-khana jo zarf jis ka hai us ka wahi hai paimana asar hai sab pe mai-e-ishq ka judagana kisi ko nashsha nahin hai koi hai diwana tajalliyon mein ho taqsim khak-e-dil kyun-kar hazar shama farozan aur ek parwana bayan-e-zakhm-e-jigar par wo muskuraate hain hansi hansi mein badalte hain rang-e-afsana kisi ke zakhm se milta nahin kisi ka zakhm teri nazar ke hain rukh kis qadar judagana har ek zarra sharabi har ek qatra sharabi tamam aalam-e-imkan hai ek mai-khana jahan-numa to hai saqi-numa nahin 'natiq' badal ke le gaya jamshed mera paimana