mujh se anjaan to nahin ho tum itne be-dhyan to nahin ho tum ye ba-zahir jo be-niyazi hai kuchh pareshan to nahin ho tum kaisi wahshat hai kyon bhatakte ho khana-viran to nahin ho tum aao baitho karo gile shikwe koi mehman to nahin ho tum ishq mein kaam aql se loge aise nadan to nahin ho tum kya kaha takhliya are tauba koi sultan to nahin ho tum