rut khizan ki hai aur hari hui hai shakh-e-gul tu to bawri hui hai kya udanon ko hausla degi ai hawa tu to khud dari hui hai zindagi mil kabhi to fursat se baat abhi tujh se sarsari hui hai koi manzar nahin hai aankhon mein ratjagon ki thakan bhari hui hai qurbaten karwaten badalti hui aur ana beach mein dhari hui hai ye jo baithe hain sar jhukae hue aaj in se khari khari hui hai khud-kalami hai ye teri 'nusrat' mat abhi soch shairi hui hai