musa hain hamin jalwa-e-didar hamin hain

musa hain hamin jalwa-e-didar hamin hain
hain tur hamin nur hamin nar hamin hain

mansur hamin hain sukhan-e-yar hamin hain
qazi hain hamin shara hamin dar hamin hain

kafir jise kahte hain hamin se hai ishaara
momin hai gharaz jis se wo din-dar hamin hain

firdaus agar hai to hamare hi liye hai
dozakh ke agar hain to saza-war hamin hain

hain dad-o-sitad donon ye bande hi ki shanen
bae hain hamin aur kharidar hamin hain

mar jaane se jo hijr mein khush hai wo hamin hain
jine se jo furqat mein hai bezar hamin hain

qasid hain hamin aur hamin katib-e-nama
dil-dar hamin nama-e-dildar hamin hain

nasut jo maskan hai to lahut ghar apna
khalwat mein hamin barsar-e-bazar hamin hain

mashshata hamin aur hamin shana-o-gesu
aaina hamin aks-e-rukh-e-yar hamin hain

kahte hain jise kufr wo ek shan hai apni
islam jise kahte hain abrar hamin hain

naqus ki aawaz hamari hi sada hai
takbir ke alfaz mein har bar hamin hain

dariya mein hamin aur hamin mauj-o-sadaf hain
qatra hain hamin gauhar-e-shahwar hamin hain

'akbar' jo hai masjud-e-do-alam wo wahi hai
sajde ke agar hain to saza-war hamin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close