mujh se ek ek qadam par bichhadta hua kaun tha sath mere mujhe kya khabar dusra kaun tha ta-ba-manzil ye bikhri hui gard-e-pa kis ki hai ai barabar qadam dosto wo juda kaun tha jaane kis khatre ne bakhsh di sab ko ham-saegi warna ek dusre se yahan aashna kaun tha pahle kis ki nazar mein khazane the us par ke misl mere hadon se udhar dekhta kaun tha kaun tha mausam-e-saf bhi jis ko aaya na ras kuchh to hum se kaho wo halak-e-hawa kaun tha kaun tha mere par taulne par nazar jis ki thi jis ne sar par mere aasman rakh diya kaun tha kis ki bhigi sada jhankti thi meri khak se main tha apna khandar is mein mere siwa kaun tha kaun tha qail-e-qahr hona tha jis ko abhi tut kar jis pe barsi bhayanak ghata kaun tha