un se wo rasm-e-mulaqat chali jati hai ye bhi sau baat mein ek baat chali jati hai wahi be-mehri-e-duniya ki shikayat hai jo thi wahi be-kaifi-e-haalat chali jati hai dil se kis tarah hate saya-e-wahshat ki abhi in nigahon ki karamat chali jati hai meri aashufta-mizaji pe wo hans dete hain yun bhi ek tarz-e-mudaraat chali jati hai jab se is bazm ka dastur bani mohr-labi rasm-e-iham-o-ishaaraat chali jati hai nam marne pe bhi hai un ke wafadaron mein kaam ruk jae magar baat chali jati hai hota aaya hai gham-e-zist ibarat un se garmi-e-bazm-e-khayalat chali jati hai aah bhar lijiye ro lijiye kah lijiye sher wo giran-bari-e-jazbaat chali jati hai hum kahan bazm-e-gah-e-naz kahan phir ye ghazal arz-e-ahwal-e-shikayat chali jati hai