mujh se kam-kosh ko be-kar ulat jati hai jab wo sayyaron ki raftar ulat jati hai aaina pir hai shamshir-zani mein us ka us se ladta hun to talwar ulat jati hai itna itra na tu khud jins ki zebaish par wo bina dekhe hi bazar ulat jati hai ek hai ghaw jo talwar ko kha jata hai ek hai naw jo manjdhaar ulat jati hai chhabde sar se ludhak jate hain shahtut bhare wo jhalak hasil-e-ashjar ulat jati hai main ne yaron ko thama di hai ye duniya-dari mere hathon se ye har bar ulat jati hai khauf ko sar pe sawari nahin karne dena sae ke bojh se diwar ulat jati hai