wahi hai gardish-e-dauran wahi lail-o-nahaar ab bhi raha karta hai roz-o-shab kisi ka intizar ab bhi kabhi din bhar teri baaten kabhi yaadon bhari raaten teri furqat mein jine ke bahane hain hazar ab bhi tera jalwa jo pa jati chaman mein ja ke ithlati bhikaran ban ke baithi hai tere dar par bahaar ab bhi khushi har-chand hai tari gai gham ki giran-bari chhalak jati hain aankhen aadatan be-ikhtiyar ab bhi hue hain muntashir warna sitamgar tum se kya darna hamari thokaron mein hai tumhaara eqtidar ab bhi agar 'akhlaq' se milte mohabbat ke chaman khilte na banti bazm-e-yaran ek gah-e-kar-zar ab bhi