na mera eatibar un ko na mujhko eatibar apna

na mera eatibar un ko na mujh ko eatibar apna
na hota kash apne waste dil be-qarar apna

na koi raaz-dan apna na koi mehrban apna
na koi ham-zaban apna na koi gham-gusar apna

na koi gulistan apna na koi aashiyan apna
na koi dar na koi ghar na koi hai dayar apna

qafas ki aafaton ka dar na khushiyan aashiyane ki
bahaar apni na gul apna kali apni na khar apna

asar apna na gham apna na sang apna na sar apna
na dard apna na dil apna na main apna na yar apna

na sham-e-gham ki tariki na tanhai ki mayusi
na chashm-e-ashk-e-bar apni na waqt-e-intizar apna

hamein ek bar mar kar phir agar jina nahin padta
to aisi zist ka phir gham bhi hota mustaar apna

satati hai mujhe din-raat apni bebasi 'salik'
takhayyul bari bari se tasawwur bar bar apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close