rah mein kante meri bote rahe kyon sitam ijad ye hote rahe doston ke bhes mein sayyaad the dosti ka bhi bharam khote rahe chaar tinkon ka mera tha aashiyan bijliyan girti thin hum rote rahe dushmani kya mujh se thi ai aasman ghar mera jalta tha wo sote rahe aasman wale bhi hairan the magar dekh kar wo dam-ba-khud hote rahe hum ko bhi apni khudi par naz tha chup rahe aur imtihan hote rahe