na chheD shair rabab-e-rangin ye bazm abhi nukta-dan nahin hai

na chhed shair rabab-e-rangin ye bazm abhi nukta-dan nahin hai
teri nawa-sanjiyon ke shayan faza-e-hindostan nahin hai

teri samaat nigar-e-fitrat ke lahn ki raaz-dan nahin hai
wagarna zarra hai kaun aisa ki jis ke munh mein zaban nahin hai

agarche pamal hain ye bahren magar sukhan hai buland hamdam
na dil mein lana guman-e-pasti meri zamin aasman nahin hai

zamir-e-fitrat mein pur-fishan hai chaman ki tartib-e-nau ka arman
khizan jise to samajh raha hai wo dar-haqiqat khizan nahin hai

harim-e-anwar-e-sarmadi hai har ek zarra ba-rabb-e-kaba
mera ye aini mushaheda hai fareb-e-wahm-o-guman nahin hai

har ek kante pe surkh kirnen har ek kali mein charagh raushan
khayal mein muskurane wale tera tabassum kahan nahin hai

falak se hangam-e-sher-goi sadaen paiham ye aa rahi hain
ki aaj ai 'josh' nukta-parwar tera sa jadu bayan nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close