mujh se ye pyas ka sahra nahin dekha jata roz ab khwab mein dariya nahin dekha jata zarf ka aks kahin aur hi chal kar dekhen aainon mein to ye chehra nahin dekha jata tu hansi le ke meri aankh ko aansu de de mujh se sukha hua dariya nahin dekha jata dil ke auraq ki tahrir padhi jati hai un ke darbar mein sajda nahin dekha jata pursish-e-gham ki sabhi rasm hain baqi lekin in charaghon mein ujala nahin dekha jata ahmiyat johd-e-musalsal ki nahin kam 'hamid' sirf taqdir ka likhkha nahin dekha jata