mumkin hi na thi khud se shanasai yahan tak le aaya mujhe mera tamashai yahan tak rasta ho agar yaad to ghar laut bhi jaun lai thi kisi aur ki binai yahan tak shayad tah-e-dariya mein chhupa tha kahin sahra meri hi nazar dekh nahin pai yahan tak mahfil mein bhi tanhai ne pichha nahin chhoda ghar mein na mila main to chali aai yahan tak sahra hai to sahra ki tarah pesh bhi aae aaya hai isi shauq mein saudai yahan tak ek khel tha aur khel mein socha bhi nahin tha jud jaega mujh se wo tamashai yahan tak ye umr hai jo us ki khata-war hai 'shaariq' rahti hi nahin baaton mein sachchai yahan tak