sauda tha bala-e-josh par raat bistar par bichhae neshtar raat bigde the yahan wo aan kar raat be-taur bani thi jaan par raat hum ta-sahar aap mein nahin the kya jaane rahe wo kis ke ghar raat afsana samajh ke so gae wo kaam aai fughan-e-be-asar raat aaine mein ho na mom jadu sote nahin ab wo ta-sahar raat tare aankhen jhapak rahe the tha baam pe kaun jalwa-gar raat andher pada zamane mein hae ne din ko hai mehr ne qamar raat is lail-o-nahaar-e-gham ne mara hai roz se siyah-tar raat kya puchho ho munkar-o-nakir aah bigde jo wo tan-e-ghair par raat ye baat badhi ki mar gae hum maut aai thi qissa mukhtasar raat is ghar mein hai aish-e-khuld 'momin' kya jaane kahan hai din kidhar raat