mumkin nahin ki teri mohabbat ki bu na ho

mumkin nahin ki teri mohabbat ki bu na ho
kafir agar hazar baras dil mein tu na ho

kya lutf-e-intizar jo tu hila-ju na ho
kis kaam ka visal agar aarzu na ho

mahshar mein aur un se meri du-ba-du na ho
kahne ki baat hai jo koi guftugu na ho

qatil agar na shokh ho khanjar agar na tez
rag rag mein be-qarar hamara lahu na ho

khalwat mein tujh ko chain nahin kis ka khauf hai
andesha kuchh na ho jo nazar chaar su na ho

surkhi hai tegh par na hina tere hath mein
qatil kahin safed adu ka lahu na ho

wo aadmi kahan hai wo insan hai kahan
jo dost ka ho dost adu ka adu na ho

dil ko masal masal ke zara hath sunghiye
mumkin nahin ki khun-e-tamanna ki bu na ho

zahid maza to jab hai azab o sawab ka
dozakh mein baada-kash na hon jannat mein tu na ho

mashuq-e-hijr us se ziyaada koi nahin
kya dil-lagi rahe jo teri aarzu na ho

aise kahan nasib ki wo but ho ham-kalam
hum tur par bhi jaen to kuchh guftugu na ho

dast-e-dua ko milti hai tasir arsh se
jo hath se ho panw se wo justuju na ho

ghash aa na jae dekh ke qatil ko mauj-e-khun
nazuk-mizaj ka kahin halka lahu na ho

hai lag ka maza dil-e-be-muddaa ke sath
tum kya karo kisi ko agar aarzu na ho

ye tut kar kabhi na banega kisi tarah
zahid shikast-e-tauba shikast-e-sabu na ho

ai 'dagh' aa ke phir gae wo is ko kya karen
puri jo na-murad teri aarzu na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close