munh apna khushk hai aur chashm tar hai tere gham mein ye sair-e-bahr-o-bar hai khabar le dil ki us se jis ka ghar hai kisi ke ghar ki hum ko kya khabar hai wo ab kyunkar na khinche aap ko dur hamare chahne ka ye asar hai hamein kuchh wo nahin hain aah warna wahi hai sham aur wo hi sahar hai hamein dekho na dekho tum hamein to tumhaara dekhna madd-e-nazar hai suna le marte marte gul ko bulbul koi nala tere dil mein agar hai uthata hai jo roz uth dard-o-gham ko kise taqat hai mera hi jigar hai kabhi basta tha ek aalam yahan bhi ye dil jo ab ki ujda sa nagar hai kaha chahe hai kuchh kahta hai kuchh aur 'hasan' dhyan in dinon tera kidhar hai