pi li to kuchh pata na chala wo surur tha wo us ka saya tha ki wahi rashk-e-hur tha kal main ne us ko dekha to dekha nahin gaya mujh se bichhad ke wo bhi bahut gham se chur tha roya tha kaun kaun mujhe kuchh khabar nahin main us ghadi watan se kai mil dur tha sham-e-firaq aai to dil dubne laga hum ko bhi apne aap pe kitna ghurur tha chehra tha ya sada thi kisi bhuli yaad ki aankhen thin us ki yaro ki dariya-e-nur tha nikla jo chand aai mahak tez si 'munir' mere siwa bhi bagh mein koi zarur tha