ye piran-e-kalisa-haram ai wa-e-majburi sila in ki kad-o-kawish ka hai sinon ki be-nuri yaqin paida kar ai nadan yaqin se hath aati hai wo darweshi ki jis ke samne jhukti hai faghfuri kabhi hairat kabhi masti kabhi aah-e-sahar-gahi badalta hai hazaron rang mera dard-e-mahjuri had-e-idrak se bahar hain baaten ishq o masti ki samajh mein is qadar aaya ki dil ki maut hai duri wo apne husn ki masti se hain majbur-e-paidai meri aankhon ki binai mein hain asbab-e-masturi koi taqdir ki mantiq samajh sakta nahin warna na the turkan-e-usmani se kam turkan-e-taimuri faqiran-e-haram ke hath 'iqbaal' aa gaya kyunkar mayassar mir o sultan ko nahin shahin-e-kafuri