munh dikha kar munh chhupana kuchh nahin kuchh nahin ye munh dikhana kuchh nahin tha jo kya kuchh baat kahte kuchh na tha aadmi ka bhi thikana kuchh nahin gul hain mashuqon ke daman ke liye qabr-e-ashiq par chadhana kuchh nahin hai satane ka bhi lutf ek waqt par har ghadi un ko satana kuchh nahin be-manae man gae hum aap se aise ruthe ko manana kuchh nahin hath se gulchin ke jhatke kaun khae shakh-e-gul par aashiyana kuchh nahin ye hasin hain pyar kar lene ki chiz in hasinon ko satana kuchh nahin ai habab apni zara hasti to dekh is par itna sar uthana kuchh nahin tu ne tauba ki to hai lekin 'riyaz' baat ka teri thikana kuchh nahin