munh kis tarah se mod lun aise payam se mujh ko bula raha hai wo khud apne nam se soe to sabz pair ka saya sarak gaya dera jama rakha tha bade ehtimam se kaise mita sakega mujhe sail-e-ab-o-gil nisbat hai mere naqsh ko naqsh-e-dawam se go shahr-e-khuftgan mein qayamat ka ran pada talwar phir bhi nikli na koi niyam se haala bana raha hai tu ab un ke zikr ka kab ke gae wo log salam-o-payam se main to asir-e-garmi-e-bazar hun 'rashid' mujh ko gharaz na jins se darham na dam se