ret se aandhiyon ka jhagda tha sans-dar-sans dam ulajhta tha wo akela hi bhid jaisa tha wo mere chaaron or chalta tha khel khela chhupan-chhupai ka chhupne wala kabhi na milta tha is baras dah gai hain diwaren pichhli barish mein mor nacha tha surkh joda kharid lai man jaane kin lakdiyon mein jalna tha raat aansu pahan ke baith gai chand chup-chap takta jata tha main ne luknat ubur kar li thi an-kahi baat ko samajh liya tha zindagi bik rahi thi thele par thele wala kahin chala gaya tha kali chadar mujhe aziz rahi mera dukh-sukh usi mein lipta tha us ko surat badalte dekha tha jo mere sare dukh samajhta tha