munh pher kar wo kahte hain bas man jaiye is sharm is lihaz ke qurban jaiye bhule nahin hain hum wo mudaraat raat ki ji chahta hai phir kahin mehman jaiye bole wo muskura ke bahut iltija ke baad ji to ye chahta hai teri man jaiye aage hai ghar raqib ka bas sath ho chuka ab aap ka khuda hai nigahban jaiye ulfat jata ke dost ko dushman bana liya 'bekhud' tumhaari aql ke qurban jaiye