munh se jo milaiye kisi ko kyun dagh lagaiye kisi ko aaina-e-kaj-numa hain ahbab surat na dikhaiye kisi ko jo surat-e-zakhm khun ro de aisa na hansaiye kisi ko kuchh khub nahin hai aadat-e-zulm hargiz na sataiye kisi ko diwar se koi phodega sar dar se na uthaiye kisi ko mushtaq hai koi zer-e-diwar aawaz sunaiye kisi ko mushkil hai bigad kar banana hargiz na mitaiye kisi ko is fikr mein hai mera pari-ru diwana banaiye kisi ko hota hai 'shuur' dard dil mein phoda ye dikhaiye kisi ko