panahen dhundh ke kitni hi roz lata hai magar wo laut ke zulfon ki samt aata hai sulagti ret hai aur thande paniyon ka safar wo kaun hai jo hamein rasta dikhata hai hai intizar mujhe jang khatm hone ka lahu ki qaid se bahar koi bulata hai jo mushkilon ke liye hal talash laya tha khilaune bant ke bachchon mein muskuraata hai tamam raste ab ek jaise lagte hain guman rah mein shaklen badal ke aata hai shikar dhund ka sahra-naward karte hain fareb khana kahan dusron ko aata hai