ye bagh zinda rahe ye bahaar zinda rahe main mar bhi jaun to kya mera yar zinda rahe qadim raste ru-posh hote jate hain so tera kucha teri rahguzar zinda rahe hamesha saz bajati rahe yun hi teri zulf aur us ke saz ka ek ek tar zinda rahe ye khak zinda unhi aansuon ke dam se hai har ek dida-e-ansu-shiar zinda rahe farar ruh hui sara naqd-e-jaan le kar hum apne jism se le kar udhaar zinda rahe main tere ghar yun hi be-qaid aata jata rahun teri nazar mein mera eatibar zinda rahe hazar shukriya 'ehsas-ji' un aankhon ka hum un ke tir ka ho kar shikar zinda rahe