samajh raha hai teri har khata ka hami mujhe dikha raha hai ye aaina meri khami mujhe zaman ki qaid hai koi na hai makan ki khabar kahan kahan liye phirti hai tishna-kaami mujhe nahin ki jurat-e-izhaar-e-ishq mujh mein nahin tabah kar ke rahi meri nek-nami mujhe koi nahin mera same isi mein khush hun main ki ras aai bahut meri khud-kalami mujhe maza mila na kabhi manzil-ashnai ka kuchh aisa kar gai aawara tez-gami mujhe hasin chehron ko tewari ke bal bigadte hain giran guzarti hai fitrat ki bad-nizami mujhe sharab-e-tund ki talkhi ka zaiqa jaise pasand aai hasinon ki bad-kalami mujhe nashat-e-takya-e-zanu se sar uthane tak sitara subh ka deta raha salami mujhe main farsh-e-rah yunhi to nahin hua 'azar' nidhaal kar ke rahi us ki khush-khirami mujhe