subut-e-parsai de raha hai dil aise kab duhai de raha hai teri aankhen jahan tak bolti hain mujhe rasta sujhai de raha hai yahan se to nazar aata nahin kuchh wahan se kuchh dikhai de raha hai tere alfaz mein hai istighasa tera lahja safai de raha hai nahin sahra talak ye shor pahuncha samundar ko sunai de raha hai