muqarrar kuchh na kuchh is mein raqibon ki bhi sazish hai wo be-parwa ilahi mujh pe kyun garm-e-nawazish hai pa-e-mashq-e-taghaful aap ne makhsus thahraya hamein ye baat bhi min-jumala-e-asbab nazish hai mita de khud hamein gar shikwa-e-gham mit nahin sakta jafa-e-yar se ye aakhiri apni guzarish hai kahan mumkin kisi ko baryabi un ki mahfil mein na itminan-e-koshish hai na ummid-e-sifarish hai nihan hai dil paziri jis ke har har lafz-e-shirin mein ye kis jaan-e-wafa ke hath ki rangin nigarish hai kiya tha ek din dil ne jo dawa-e-shakebai so ab tak un ke naz-e-dilbari ko hum se kawish hai hujum-e-yas ne be-dil kiya aisa ki 'hasrat' ko tere aane ki ab ummid baqi hai na khwahish hai