na sahi gar unhen khayal nahin ki hamara bhi ab wo haal nahin yaad unhen wada-e-visal nahin kab kiya tha yahi khayal nahin aise bigde wo sun ke shauq ki baat aaj tak hum se bol-chaal nahin mujh ko ab gham ye hai ki baad mere khatir-e-yar be-malal nahin afw-e-haq ka hai mai-kashon pe nuzul rezish-e-abr-e-barshagal nahin hum pe kyun arz-e-haal-e-dil pe itab elchi ko kahin zawal nahin sun ke mujh se wo khwahish-e-pa-bos hans ke kahne lage majal nahin dil ko hai yaad shauq ka wo hunar jis se badh kar koi kamal nahin aap nadim na hon ki 'hasrat' se shikwa-e-gham ka ehtimal nahin