muqayyad aadamiyyat ki zaban hai ye ahd-e-agahi ki dastan hai jahan gul yas-o-hasrat ke khile hain hamare zehn ka wo gulsitan hai koi suraj nahin apni nazar mein faza mein khauf-o-dahshat ka dhuan hai jala kar rakh kar dega jahan ko hamara qalb jo aatish-fishan hai masarrat ko laga lete jigar se magar gham se hamein fursat kahan hai