na aasman mein zamin mein na kaenat mein hai wo husn jo ki azal hi se teri zat mein hai ye rang-o-nur ye khushbu ye mauj-ha-e-bahaar masarraton ka khazana rah-e-hayat mein hai chhupa na paega koi bhi mujh se raaz-e-hayat ki aaina gham-e-dauran ka mere hath mein hai jo rag sirf tha mahdud meri zat talak wo ban ke ek tarana sa kaenat mein hai zamin-bos abhi hoga fikr-o-fan ka mahal ek intishaar sa duniya-e-be-sabaat mein hai ye aadmi ka hai jangal zara sanbhal ke chalo yahan to nag hawas ka tumhaari ghat mein hai badal hi jaegi 'jami' tumhaari tarz-e-kalam ek inqalab ki khushbu tumhaari baat mein hai